Gibat Karne ka Gunah aur Azab
Hadees: Anas bin Malik (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaaya:
“Jab Mujhe Meraj Karaayi gayi tou Mera Guzar ek aisi Qaum par hua Jin ke Naakhoon Taambey (Nails of Copper) ke they Jo apne Chehron aur Seenon (faces & chests) ko Chhil (Scratch) rahey they."
Maine Poocha : Aye Jibreel ! Yeh kaun hain ?
Unho ne kaha :
"Yeh Woh hai Jo Doosrey Logon ka Gosht khaatey (Yaani Gheebat/Back Biting) aur unki izzaton se kheltey hain.”
📕 Sunan Abu Daawood, Hadees 4878-Sahih
# Sabaq: Musalmaan ki Gheebat karna yaa Choti Satah (level) ke Musalmano ki izzat wa Tauqeer (Sammaan) ko Malhooz (Dhyaan) naa rakhna, sakht Khatarnaak hai.
https://ummat-e-nabi.com/gibat-karne-ka-gunah-aur-azab/?feed_id=637&_unique_id=66600e126c4b1
Comments
Post a Comment