Bhalayi aur Burayi Ek Jaise Nahi ho Sakti
Ismey koi Shaq Nahi ke Allah aur Uskey Rasool ka Paigaam Haq hai, Allah Ta'ala Quraan-e-Kareem ki Muabarak Aayat me farmata hai ke -
۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞
"Bhalayi aur Burayi Ek Jaise nahi ho Sakti tou tum Burayi ko Apne Bhale Sulook se Door kar Do, Phir kya Dekhoge ki Jis Shakhs aur Tumhare Beech Dushmani thi Unme aisa ho Jaayega jaise koi Pakke Dost hote hai."
๐ Quran 41:34
Iss Mudde per Quraan-e-Karim ki Rahnumaai Dil ko Badaa Sukoon deti hai, Rabb-e-Taala ne Burayi ko Khatm karne ki Iss Ayat me kya Khoob Taaleem di hai ki, Koi jab Humse buraa Sulook kare tou Hume uska badla bhale Sulook ki Shakl me dena chahiye Iss tarha se Ek Din wo bhi Humare Dost ho Jaaynge Jo aaj Humse Dushmani rakhte hain.
Insha Allah !! Allah Taala Hume Kehne Sun'ne se jyada Amal ki Toufiq de. Ameen, Summa Ameen
https://ummat-e-nabi.com/bhalayi-aur-burayi-ek-jaise-nahi-ho-sakti/?feed_id=782&_unique_id=66665ef97bea2
Comments
Post a Comment