3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega: Hadees e Qudsi

3 Tarha ke Logon ke khilaf Allah Khud Gawahi dega

Hazrate Abu Hurairah (R.A) se Riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya ki Allah Ta'ala ka farman hai :

"Teen (3) tarah ke log aise hain jiska Qayamat ke din Mai khud muddaii (opponent/khilaf) banunga"

(1). Ek tou wo shakhs jis ne mere Naam par Ahad (Waada) kiya aur phir waada khilafi ki,

(2). Dusra wo shakhs jisne kisi Aazad Aadmi ko baich kar uski Qeemat khayi,

(3). Teesra wo shakhs jis ne kisi ko Mazdoor kiya phir kaam tou uss se pura kiya lekin uski mazdoori na di.

📕 Sahih Bukhari, Hadees 2270

https://ummat-e-nabi.com/3-tarha-ke-logon-ke-khilaf-allah-khud-gawahi-dega/?feed_id=374&_unique_id=665be7774c5b5

Comments