ISLAM Khatrey Me Hai Ya MUSALMAN ?
ISLAM Khatrey Me Hai Ya MUSALMAN ?
Aaj Musalamano Par Din-ba-Din Zulmo Seetam ki Inteha Dekh Aksar Logon ke Muhh se ye Baate Sun'ne ko Milti Hai ke "Islam Khatrey me Hai.." Subhan'Allah !!! ...
Yaad Rakhey Jo Log ye Kehte hai ke Islam Khatrey me hai. Wo Bhul Jaiye ke Islam ko kabhi Khatra tha naa kabhi hoga balki Khatre me Wo Musalman hai Jo ess Deen ko Chorkar Apne Nafs ki Tabedari kar raha hai.
Jabki Is Deen Ki Fitrat hai ke ye har Haal me Insaniyat tak Pohoch kar rahega.
Aur esi baat ko Allah Ke Rasool (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne wajeh farmaya aur kaha :
Ye Deen Tou Har Ghar Me Dakhil Hokar Rahega…. Chahe Kaccha Makaan Ho Ya Pakka,. Ya Band Kiley Ho, Ya Khuli Wadiya Ho… Deen-e-Islam Saare Aalam-e-Insaniyat Tak Pohochkar Rehne Wala Hai..”
Masnad Ahmed; Hadith#16998
Ab Hume Tay ye karna hai ke Hume Sath rehna hai ya nahi rehna, – Jabki Allah ne tou Apna kaam karna hai. - Apne Deen ko Insano par wajeh karna hai. - Deen ke Sath Chalne Walo ko Aazmana aur Uska Badla dena hai. - Aur Deen ko Chorne Walo ko Duniya aur Aakhirat me Ibrat Banana aur Azaab dena hai.
Yaad Rakhiye Islam ki Pehchan Musalmano se nahi, Balki Musalman Ki Pehchan Islam Se hai.
Tou Behaarhaal Hume Chahiye ke Allah ke Deen ko Thaam le.
Allah ki Kitaab aur RasoolAllah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ki Itteba ko Lazim aur Farz jaaney.
Agar ye Hum Karenge tou Duniya me bhi Surkhuru (kamiyab) honge aur Insha’Allah-Ul-Azeez Aakhirat me tou jarur surkhuru honge.
Allah ke paas Kaamiyab Kehlayenge. Aur Khub Ajar payenge apne Aamal ka.
♥ In’sha’Allah-Ul-Azeez !!! Allah Rabbul Izzat Hume Kitabo Sunnat Ka Paband Banaye … Hume ‘Amr Bil Maroof Wa Nahi Anil Munkar’ Par Amal Ki Taufik Dey ,..
Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye… Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com
Comments
Post a Comment