Hadees: Chaar baato par Iman Lana Farz hai
Chaar baato par Iman Lana Farz hai
TRANSLITERATION
۞ Hazrat Ali (R.A) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya ke:
"Jabtak koi banda in 4 baaton par imaan naa laye, to woh Momin nahi ho sakta:
(1) is baat ki Gawahi de ke Allah ke alawa koi ibadat ke layaq nahi, (2) (is ki bhi gawahi de ke) Main (Muhammad ﷺ) Allah ka Rasool hu, usne mujhe Haq ke saath bheja hai. (3) Marne aur dobara Zinda hone ka yakin rakhe. (4) Taqdeer par imaan laye."
📕 Jami at-Tirmizi, Hadees 2145
HINDI
۞ हज़रत अली (र.अ) से रिवायत है के, रसूलुल्लाह (ﷺ) ने फ़रमाया:
"जब तक कोई बन्दा इन चार बातों पर ईमान न लाए, तो वह मोमिन नहीं हो सकता :
(१) इस बात की गवाही दे के अल्लाह के अलावा कोई इबादत के लायक नहीं, (२) (इस की भी गवाही दे के) मैं (मुहम्मद ﷺ) अल्लाह का रसूल हूँ उस ने मुझे हक़ के साथ भेजा है। (३) मरने और फिर दोबारा ज़िन्दा होने का यक्रीन रखे। (४) तक़दीर पर ईमान लाए।
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com
Comments
Post a Comment