Allah ke Nazdeek Sabse Pyari aur Boori Jagah: Hadees
Allah ke Nazdeek Sabse Pyari Jagah aur Boori Jagah
Allah Ke Rasool (ﷺ) farmate hai:
"Allah ke Nazdeek Saari Aabadiyo me Sabse Pyari Jagah Uski Masjide hai aur Sabse Boori Jagah Bazar hai."
Beshaq Allah ko Aisi Masjide Pasand hai Jaha Khalis Allah ki Ibadat ho, aur Jaha Kitabo Sunnat Par Dars ho.
Warna Surah Taubah me Allah Ta'ala ne Apne Nabi ko Ek Aisi Masjid bhi Todney ka Hukm Diya Jo Munafiqo ne Mehaz is liye Tamir Ki thi ke Ummat Me Fasad barpa ho.
Allah hum par reham kare,.. Aaj Is Mu'amle me humara kya haal hai ? beharhaal bataney ki jarurat nahi.
Masjid Jaha hum ek dusre ke Kandhe se Kandha Milaakar ek Saff me khadey hokar duniyawi tamam unch nich ke usoolo ko tark kar Aalmi Bhaichare aur Insani Masawat (Human Equality) ka Izhar karte hai, Allah reham karey ! Aaj humari la'limi ka natija hai ke hum bilkul iske barkhilaf amal kar rahe hai ,..
Allah Rabbul Izzat hum Sabko Hidayat dey .. - Humey Kitabo Sunnat ka Muttabey banaey .. - Hume Ek aur Nek Banaye ,.. - Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam aur Imaan par Zinda Rakhye… - Khatma Humara Imaan Par Ho … !!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com
Comments
Post a Comment