Nijaat kya hai aur Musibato se kaise Nijaat paye ?

Nijaat kya hai aur Musibato se kaise Nijaat paye ?

Hadees of the Day

Nijaat kya hai aur Musibato se kaise Nijaat paye ?

Uqbah bin Amir ra ne arz kiya, Allah ke Rasool ﷺ Nijaat ki kya Soorat hai ?.

Tou Aap ﷺ ne farmaya:

"Apni Zubaan ko Qabu me rakho, apne Ghar ko kaafi jaano aur apni Khataon par rotey raho."

📕 Jami'at Tirmidhi: Hadees 2406-Hasan


Wazahat:

1). iss hadees me Zuban ki Hifazat ki Ahemiyat ko wazeh kiya gaya hai, kyun ke isey control me naa rakhne ki surat me baqasrat Gunah hote rehte hain, isliye fuzul aur gair zaruri baaton se hume parhez karna chahiye aur koshish ye ho ke hamesha Zuban se khair hi nikle, aise logon se aur majalis se door rehna chahiye jin se Sharr ka khatra ho, bahesiyat insaan se Galtiyan zarur hongi in Galtiyon ke kaffaron ke liye Allah Rabbul Alameen ke saamne Aajzi ka izhar kare aur iss se maghfirat talab karen.

2). Ghar ko kaafi jaano se murad ghar me rehna hai, bila zarurat bila wajah bahar bazaron mein ghumne se parhez karna hai.

3). Khatao pe rona ya Dua karte waqt rona ke talluk se Nabi-e-Kareem ﷺ ne farmaya "Wo Aankhe Jahannam ki Aag ko naa chhuegi jo Allah ke khauf se (zaro qataar) royi hon."  [Tirmidhi: 1639].

In'sha'Allah Ul Azeez!

Allah Ta'ala hume kehne sun'ne se jyada amal ki taufik de.

Courtesy © Ummat-e-Nabi.com

Comments