Mout ki Tamanna Hargiz Naa kare
Mout Ki Tamanna Hargiz Na Kare
Nabi-e-Kareem (ﷺ) ne farmaya -
"Tum me se koi Shakhs kisi Takleef ki Wajah se Jo Tumhe Pohanchi ho, Mout ki Aarzoo naa kare."
Aur agar (Takleef ki Noeyat aisi ho keh Iss ke bagair) Chara na ho tou ess taraha Dua kare,
"Aye Allah ! Tu mujhey ess Wakt tak zinda rakh, Jab tak Zindagi mere liye Behtar ho aur Uss Waqt mujhe fout (die) kar de jab Wafaat mere liye behtar ho."
📕 Riyaaz-Al-Saleheen Hadees 40
Kisi bhi Taklif ki wajah se mout ki aarzu ana kare
Ek aur riwayat me aaya hai ke: RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
“Tum me se koi Maut ki Tamanna na kare Kiyun ki, Agar Woh Nek hai tou ho sakta hai Woh aur Zyada Nekiyan kar le aur agar woh Gunahgaar hai tou shayad woh (Nek Amal kar ke) Apne Allah ko Raazi kar le.”
Allah Taala Hume kehne sunne se jyada amal ki taufiq de. Ameen! Allahumma ameen.
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com
Comments
Post a Comment