Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou ...
Agar Tumhare Zariye Ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye
Hazrate Ali (R.A) se riwayat hai ke, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
"Allah ki Qasam! agar tumhare Zariye ek bhi Aadmi ko Hidayat mil jaye tou wo Tumhare liye Surkh Untoun (Camel) se behtar hai."
Surkh Unthon ki Naslo me se sabse behtareen Nasl hai, aur Allah Uss Bandey se jyada raazi hota hai Jo Logon Me Awaam me hidayat ki Dawat deta hai, aur Jiski Dawat Qabool ho jaye tou iska Ajar Unton ki sabse behtareen Nasl ki ahmiyat (value) se bhi behtar hai.
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com
Comments
Post a Comment