10 Muharram / Ashura ke Roze ki Fazilat
Hadees of the Day
★ Ashure ka Roza
۞ Hadees: Abdullah bin Abbas (R.A.) se riwayat hai ki, Jab Allah ke Rasool (ﷺ) ne Ashure ke Din 10 Muharram ka Roza rakha aur Hukm (Order) kiya is Rozey ka, tou logo ne Arz kiya, Ya RasoolAllah(ﷺ) ! ye din to aisa hai ki iski Taazim Yahud aur Nasara karte hain.
Tou Aap (ﷺ) ne farmaya ki Jab Agla Saal aayega to In' sha' Allah Hum 9 ka Roza Rakhege,
Aakhir Agla Saal na aane paya ki Aap (ﷺ) is dunia se Rukhsat kar gaye. (isliye hum Musalman 9 aur 10 dono ka Roza rakhte hain).
★ Aashura ke Roze ki Fazilat:
۞ Hadees: Abu Qatada al-Ansari (R.A.) se riwayat hai ki,
RasoolAllah (ﷺ) se Ashura (10 Muharram) ke din ke Rozey ke bare mein pucha tou Aap (ﷺ) ne farmaya -
'Ye Guzrey huye Saal ke Gunahon ka kaffara hai.'
★ Yahudi Ashure ka Roza kyu Rakhte they ?
10th Muharram ko Allah Ta'ala ne Hazrath Musa (Alaihi Salam) ki Ummat ko Firoun ki Qaid se Azad karwaya aur Firoun ko Paani me Garkh Kar diya tha.
Lihaja is ke Shukrane ke taur par Musaa (Alaihi salam) ki Ummat ye Ashoora ka Roza rakhti thi, aur Ummat-e-Mohammadiya ko 9 aur 10 ya phir 10 aur 11 ka Roza Rakhna hai. Ta'ake Yahud aur Nasara se Musabahat na ho aur unki mukhalifat ho.
Ulema Unki Mukhalifat ke talluk se kehte hai ke unki Mukhalifat ka hukm isiliye kyunki wo Qoum bhi Aizaz paane ke baad Allah aur uske Nabiyo ke Hukm ki mukhalifat karne lag gaye they. lihaja unki mukhalifat me hume ek ke bajaye 2 roze rakhne ka hukm mila.
★ 10 Muharram ko Sharbat baantna kaisa hai?
Aam taur par Log 10th Muharram ko (Sharbat, Juices) baant'te hai aur puchne par bolte hai ke Nawase Rasool Husain RaziAllahu Anhu Pyaase Shaheed huwe they isliye hum Sharbat baat te hai, ye sarasar Galat hai Sharbat baantna.
Jabki Hum logo ko chahiye ke hum 10th moharram ke din Roza rakhe jaisa Rakhne ka Hukm hai, Pados me aur logo ke ghar Iftar bhejna chahiye taake logo ko pata chale ke is din Roza rakhna hai naa ke Roza Todna.
NOTE: 9 aur 10 ya phir 10 aur 11 ka Roza Rakh sakte hai.
Allah Ta'ala hume kehney sunney sey ziyada amal ki toufeeq aata farmaye. Ameen
Aur bhi Dekhe:
- Maah-e-Muharram ki Fazilat, Masnoon Amal aur Biddatein
- Kya Muharram Gham ka Maheena hai?
- Muharram bayan Mp3 Free Download by Ahle Sunnat Ulema
- Sab Rozo me Afzal Ramzan ke Baad Muharram ke Roze ki Fazilat
Comments
Post a Comment