Jhoot bolne wale par Allah ki Lanat hai - Curse of Allah on those who lie.

Jhoot bolne wale par Allah ki Lanat hai - Curse of Allah on those who lie.

Jhuth bolna Kaisa hai?

Jhuth bolna ek Kabeera Gunah (Major sin) hai.

Aksar dekha jata hai muashre me fitne aur fasad ki wajah jhuth hoti hai. tou beharhaal is post me hum jhuth ke baare me Qurano Sunnat ki rehnumayi par gour karenge.


۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

Aaj ki Aayat | Verse of the day

Jhootho par Allah ki Lanat

"Beshaq Jhoot bolne waale par Allah ki Lanat hai."

"बेशक झूठ बोलने वाले पर अल्लाह की लानत है|"

📕 Surah Aal-e-Imran 3:61 © www.ummat-e-nabi.com/home


Jhuth Gunah ki taraf le jata hai

© www.ummat-e-nabi.com/homeNabi-e-Kareem (ﷺ) farmate hai

"Jhoot se bacho! bilashuba Jhooth Gunaah ki taraf le jaata hai, aur Gunaah jahannam me pahunchane wala hai."

नबी-ऐ-करीम (ﷺ) फरमाते है: "झूठ से बचो ! बिलाशुबा झूठ गुनाह की तरफ ले जाता है, और गुनाह जहन्नुम में पहुंचाने वाला है|"

The Prophet (ﷺ) said: "Avoid falsehood, for falsehood leads to wickedness, and wickedness to hell."

📕 Sunan Abi Dawud 4989-Sahih © www.ummat-e-nabi.com/home


Jhooth bolne ka Azab

"Bohot saare log munh ke bal jahannam me phenk diye jayenge, sirf apni zubaan (Jhoot) ki wajah se."

बहुत सारे लोग मुँह के बल जहन्नुम में फ़ेंक दिए जायेंगे, सिर्फ अपनी जबान (झूठ) कि वजह से|

📕 Tirmizi Shareef © www.ummat-e-nabi.com/home

isme zuban se kiye jaane wale gunaah shamil hai jaise Jhuth bolna, baddkalami karna, Ghibat aur Chugli karna.


Mazaq me bhi Jhuth na bole

Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate hai

"Main zamanat deta hoon Jannat ke darmiyan 1 Ghar ki, Uss Shakhs ko jo Mazaq me bhi jhoot na boley."

नबी-ऐ-करीम (ﷺ) फरमाते है: "मैं जमानत देता हु जन्नत के दरमियान १ घर की, उस शख्स को जो मज़ाक में भी झूठ न बोले।"

The Prophet (ﷺ) said: I guarantee a house in the middle of Paradise for a man who avoids lying even if he were joking.

📕 Sunan Abi Dawud 4800 © www.ummat-e-nabi.com/home


Jhuthi tareef na kare

Nabi-e-Kareem (ﷺ) farmate hai:

"Apni Jhooti taarif pasand karna Sharike Haraam hai aur uss me aakhirat ki barbadi ka andesha hai."

नबी-ऐ-करीम (ﷺ) फरमाते है "अपनी झूठी तारीफ पसंद करना शरीके हराम है और उस में आख़िरत की बर्बादी का अंदेशा है|"

📕 Bukhari, Muslim © www.ummat-e-nabi.com/home


Jhuth bolne wale ke liye kharabi hai

"Uss Shakhs ke liye kharaabi hai jo baat karte huwe logo ko haasane ke liye jhoot bolta hai."

"उस शख्स के लिए खराबी है जो बात करते हुए लोगो को हँसाने के लिए झूठ बोलता है।"

📕 Mishkatul Masaabih © www.ummat-e-nabi.com/home

♥ In sha Allah-ul-Azeez !!! Allah Rabbul Izzat hume har haal me jhoot se parhez karne ki toufiq ata farmaye. Aur humesha sach bolne wala banaye !! Ameen, Allahumma Ameen.

Courtesy © Ummat-e-Nabi.com

Comments