Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat

Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat

Hadees of the Day

Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat

Ibn Abbas (R.A) bayan karte hain ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:

Ashrah Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ta'ala ko Jis Qadar Mahboob wa Pasand hain, Dusre dino ke Aamal iss Qadr mahboob nahi."

Sahaba-e-Kiram (R.A) ne arz kiya: "Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Dusre dino ka jihaad bhi ?"

Aap (ﷺ) ne farmaya:

"Dusre dino ka Jihaad bhi iss Qadr mahboob nahi, haan! Mujaahid apni jaan aur maal Allah Ta'ala ke raastey me Qurbaan kar dey tou aisa Jihaad afzal aur pasandeedah ho sakta hai."

📕 Bukhari, Tohfatul Ahwazi Jild 2 Pg 58,

📕 Abu Dawood Jild 1 Pg 332, Miftah Al Haja Sharah , 📕 Ibne Majah Pg 125, Baihaqi Jild 4 Pg 285, Mishkat Jild 1 Pg 127-128

People also Search as:

Comments