Quran padhne Wale ki Fazilat
Quran padhne Wale Nek Farishto ke Sath Honge
Aisha (R.A) se riwayat hai ki Rasool'Allah (ﷺ) ne farmaya:
"Jo shakhs Quran padhta hai aur usko padhne me mahir ho, tou wo Shakhs aise likhne wale (Farishto) ke saath hoga. jo Buzurg aur Nekokar (Kiramin-Bararah) hain.
Aur Jo Shaksh Quran padhta hai aur uske liye mushkil hota hai tou usko Dohra (double) Ajar milega."
📕 Jami'at Tirmidhi, Hadith#813
♥ Subhan'Allah ! Allah Rabbul Izzat hum Sabko Kehne Sun'ne se Jyada Amal Ki Taufik Dey !!!
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com
Comments
Post a Comment