Narm Mizaji ki Fazilat : Saari Bhalayi aur khairiyat
Narm Mizaji ki Fazilat : Saari Bhalayi aur khairiyat
Jareer (R.A.) se riwayat hai ke,
Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya:
"Jo Shakhs Narmi se mehroom raha wo saari Bhalayi se mehrum raha."
Is Hadith mein Narmi (Narm dili) ki ahmiyat ko zahir kiya gaya hai aur yeh bataya gaya hai keh narm mizaji aur doosri acchi sifatain qareebi taur par taluq rakhti hain.
Yeh Hadith hume apne akhlakh wa muamlaat me narm dili ko ikhteyar karne ki talqeen karta hai kyunke is se aksar bhalayi hath aati hai.
In sha Allah ul Azeez
Allah Taala Hume Kehne Sunne se jyada amal ki taufik de,
Hume Narm Mizazi ikhteyar karne ki toufik ata farmaye.
Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhye,
Khatma Humara Imaan par ho,
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com
Comments
Post a Comment