Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai

Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai

Hadees of the Day

Insan Roz-e-Qayamat Uske Sath hoga Jis se Wo Mohabbat karta hai

Ek Ansari Sahabi Jinka chehra bada Ghamjada tha, Woh RasoolAllah (ﷺ) ke Paas Aaye, RasoolAllah (ﷺ) ne Unki Pareshani ka Sabab Pucha.

Tou Unhone Kaha "Aye Allah ke Rasool(ﷺ)! Ek Gham Mujhe khaye ja raha hai, ke Mai yeh Sochta hu ke Aaj Dunia me Aapka Chehra Mubarak dekhey bagair Hum reh nahi patey, chalte aur phirtey, uthtey aur baithtey jab bhi aapki yaad aati, Aapse aa kar Hum mil letey, aapka didaar karte aur hume Sukun milta hai.

lekin Mai yeh soch kar Gham kha raha hu ke Roze Qayamat tou Aap Ambiya (Alaihi Salaam) ke sath honge, waha hum Aapka Didaar na kar payenge."

Aap (ﷺ) is par Khamosh rahe, fir Aap (ﷺ) par Allah Taala ki janib se yeh Aayat nazil hui -

Jo Koi Allah aur Rasool ki farmabardari karey Woh (Roze Qayamat) Unn Logon ke Sath hoga Jin per Allah Ta'ala ne Inaam kiya hai Jaisey Nabi aur Siddique aur Shaheed aur Nek Log yeh Kya hi Behtareen Rafiq hai.

📕 Al-Quran; Surah Nisa: 4:69

Aur fir Aap(ﷺ) ne farmaya –

"Al-Maru Ma' Man Ahab" Yaani Insan (Qayamat Ke Din) Uskey Saath hoga Jis se Wo Mohabbat karta hai.”

📕 Sahih Bukhari, 6169

Aur Hazrate Anas bin Malik (R.A) kehte hai ke, Iss Hadees ko Sun'ne se jyada hume kabhi kisi Hadees par aesi khushi nahi hui, ke Insan Uske Sath Jis se wo Mohabbat karta hai aur Hum Jantey hai ke Hum RasoolAllah (ﷺ) se Mohabbat karte hai, Lihaja Humara Hisaab bhi RasoolAllah ke sath hoga.

* Tou Jisney RasoolAllah se Mohabbat ki Yaani RasoolAllah ki Ita'at ki. Wo RasoolAllah ke sath hai,

* Jisney Filmstaro ki Itteba ki Unsey Mohabbat ki, Unkey Tareeko ko Apnaya, Wo unke saath hoga,

* Jisney Sportstars ko pasand kiya, Unkey Tareeke par chala wo unke sath hai,

* Jisney Kuffaro ko pasand kiya, Unkey Tarsh ko Apnaya aur unkey tareeko par chala wo Unkey saath hai.


SABAQ:

Lihaja Hume Chahiye ke Zindagi ke tamam Shobo me RasoolAllah (ﷺ) ko Apna Usma-tul-Hasna (Ideal aur Role Model) maaney aur Aap (ﷺ) ki Sunnato par Amal ko Lazim aur farz jaaney,..

♥ In sha Allah - Ul - Azeez
Allah Taala Hume kehne sun ne se jyada amal ki taufiq ata farmaye,
Allah Taala Hume RasoolAllah (ﷺ) ki Sunnato ka muttabe banaye,
Jab tak hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par zinda rakhey.
Khatma Humara Imaan par ho.
Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!

Courtesy © Ummat-e-Nabi.com

Comments