Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai
Hadees of the Day
Ilm-o-Hidayat ki Misaal 3 Tarah ki hai
Abu Musa (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya -
"Allah Ta'ala ne Mujhe Jis Ilm-o-Hidayat ke Saath Bheja hai Uski Misaal Uss Baarish ki Tarah hai Jo kisi Zameen par Khub Barsey. (Aur jis Zameen par Barish barsi woh 3 Tarah ki thi)"
1). Uska Ek Tukda Umda Tha Jisne Paani ko Apne Andar Jazab kar liya, phir Khub Ghaas aur Sabza Ugaya.
2). Zameen ka Ek Dusra Umda Tukda Sakht tha. (Jisne Paani tou Jazb nahi kiya lekin ) Uskey Uper Paani Jama ho gaya.
Allah Ta'ala ne Is se bhi Logo ko Nafa Pahonchaya. Unhone Khud bhi Paani piya, Jaanwaro ko bhi Pilaya aur Kheto ko bhi Sairab kiya.
3). Wo Barish Zameen ke aise Tukdo par bhi Barsi jo Chatpal Maidan hi they. Jiska Paani Na Jama kiya aur Na hi kisi ko Ghaas Ugai. (Isi tarah Log bhi 3 Kism ke hotey hai)
# Pehli Misaal : Uss Shakhs ki hai Jisne Deen me Samaz Hasil ki aur Jis Hidayat ko dekar Allah Ta'ala ne Mujhe bheja hai Allah Ta'ala ne Usey Uss Hidayat se nafa Pahonchaya. Usne Khud bhi Sikha aur dusro ko bhi Sikhaya.
# Dusri Misaal : Uss Shakhs ki hai Jisne Khud tou fayda nahi Uthaya magar dusre Logo ne Uss se Faydah haasil kiya.
# Teesri Misaal : Uss Shakhs ki hai Jisne Uski tarah Sir Uthakar bhi na dekha aur na Allah Ta'ala ki Uss Hidayat ko Qubool kiya Jis ke Saath Allah Ta'ala ne Mujhe bheja hai.
📕 Sahih Muslim Book 030, Hadith no. 5668.
📕 Sahih Bukhari Volume 001, Book 003, Hadith no. 079.
Comments
Post a Comment