Aqalmand aur Bewakoof Insan koun?
Aaj ki Aayat | Verse of the Day
Aqalmand aur Bewakoof ki Pehchan
Allah Taala Quran-e-Kareem me farmata hai:
"Aqalmand We Log hai Jo Khadey aur Baithey aur Letey, har Haal me Allah Ta’ala ko Yaad kiya karte hain.”
Aqalmand Insan koun?
RasoolAllah (๏ทบ) se daryaft kiya gaya:
“Sab se Aqalmand kaun hai?”
Aap (๏ทบ) ne farmaya :
"Aqalmand wo shakhs hai jo apne Nafs ko Allah ke ta’abe karey aur Mout ke baad ke liye (Neik) Amal kare."
Bewakoof Insan koun?
Phir Aage Aap (๏ทบ) ne farmaya :
"Aur Bewakoof wo shakhs hai jo apne Nafs ko apni khwahish ke ta’abe kare aur Allah par ummid rakhe."
Iss Aahadees me Mout ko yaad rakhne se muraad Mout ke baad dene wale hisab ke liye jyada se jyada acche amal karna hai. Yakinan Hisab ka din yaani Qayamat Ankareeb hai,
Allah Taala hum Sabko Kehne Sunne se jyada Amal ki taufiq de. Ameen
Courtesy © Ummat-e-Nabi.com
Comments
Post a Comment