Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat

Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat

Hadees-e-Nabwi (ﷺ)

Allah ki Hidayat ko Chupane Wale par Lanat

Usman (R.A) ne Wuzu kiya tou Ek Shakhs se farmaya,
"Main Tumko Ek Hadees Sunata hu agar Quraan Paak ki Ek Aayat (Nazil) na hoti tou Main ye Hadees Tumko na sunata ke,

RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya -

"Jab bhi koi Achchi tarah Wuzu karta hai aur Namaz parhta hai tou Uskey Ek Namaz se Dusri Namaz ke parhney tak ke Gunnah muaf kar diye Jaatey hain."
(Sahih Bukhari; Vol 1, Hadees: 153)

Urwah (R.A) kahtey hain Wo Ye Aayat ye hai -

"Jo Log Allah ki Uss Nazil ki Huyee Hidayat ko Chupatey hain Jo Usney logon ke liye Apni Kitab me bayan ki hai, Un par Allah ki Lanat hai aur (Dusrey) Lanat karney walon ki lanat hai”
(Surah Al-Baqrah 2:159)

Courtesy © Ummat-e-Nabi.com

Comments