Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi ...
Hadees of the Day
Jo Matam kare wo Musalmano me se nahi
Abdullah Ibn Masood (R.A) se riwayat hai ke,
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:
"Jo (Apne) Chehre ko Peete, Ghireban Phadey (Maatam karey) aur Zamana-e-Jahliat ki batain kare (Noha karey) wo hum (Musalmanon) me se nahi hai."
📕 Bukhari Hadees no. 1297
Noha / Matam karna aur Dekhna dono Haram hai ...
✦ Muharram ke Ashre (10 Dinno) me Shia Hazrat Maatam ya Noha karte hain. Jo Quran wa Sunnat Ki Roshni me Haram, Biddat wa Kufriya Amal hai Isske sath hi Maatam me Shareek hona wa Maatam karne walo ke Juloos ko Dekhna bhi Sakht mana hai.
Mafhoom-e-Hadees:
Abu Malik al-Ashari (R.A) se riwayat hai ki,
Meri Ummat Mein Jahiliyat ki (Yaani Kufr ke Zamane ki) 4 Cheezin hain
jisko yeh log chhorte nahi hain.
(1st) Ek Apne Hasab (ohde) par Fakhr karna,
(2nd) Dusro ke Nasab (khandan) par taane karna,
(3rd) Sitaron se Paani ki Ummid rakhna
(4th) Aur choutha Noha (Maatam) karna.
Agar Noha (Maatam) karne Waale bina Tauba ke Marr jaye tou
Allah Rabbul Izzat Usko Tarcoal ka Libas aur Dozakh ke Sholo ka Kurta pehnayega.
📕 Sahih Muslim, Jild 2, Hadith no. 2160
♥ In'sha'Allah Ul Azeez !
Allah Ta'ala Humey Tamam Gairsharayi Amal se Bachney ki Taufik ata farmaye,
Jab tak Hume Zinda rakhey Islam aur Imaan par Zinda rakhey,
Khatma Humara Imaan par ho.
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!
Comments
Post a Comment