Ummido aur Mout ke Darmiyan Zindagi hai

Ummido aur Mout ke Darmiyan Zindagi hai

Hadees of the Day

Ummido aur Mout ke Darmiyan Zindagi hai

Nabi-e-Kareem ﷺ ne chand Khatoot (Laqeere) khichi aur farmaya ki
Ye Ummid hai aur ye Mout hai, Insan usi Halat ( Ummidon tak pahunchne ) me Rehta hai ki Qareeb wala Khat (Mout) us tak pahunch jata hai.

📕 Sahih Bukhari: jild 8, kitab Ar riqaq 81, hadith no. 6418

Wazahat:

Insanon mein Duniya wa Aakhirat dono ke chahane wale hain, momin ko chahiye Aakhirat ka chahane wala bane, Duniya ka chahne wala na bane, kyun ke aaj to kaam hi kaam hai hisaab nahi hai aur kal hisaab hi hisaab hoga aur amal ka waqt baqi nahi rahega.

Umeedo aur tamannao ki pyaas insaan ko bhatkaye rakhti hai, Aarzuo ki bhadakti aag usey kisi lamha chain se baithne nahi deti, phir woh na-muraad hasratoon ki aag mein zindagi bhar jalta rehta hai.

Momin bas is Nazriye ke sath zindagi guzare ke yeh duniya us ke liye aarzuo ki takmeel ki jagah nahi balke Aarzuo ki Qurbaangaah hai.

Aur Kafiroon ke liye Aarzuo ki takmeel ki jagah hai kyun ke woh Aakhirat mein har qisam ki aaraam o araish se mehroom kar diya jayega.

Allah Taala Hume Kehne Sunne se Jyada Amal ki Toufiq ata farmaye , Ameen Allahumma Ameen.

Comments