Hadees: Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat
Hadees of the Day
Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh ki Fazilat
Ibn Abbas (R.A) bayan karte hain ke, Rasool'Allah (ﷺ) ne irshad farmaya:
❝Ashrah Dhul Hijjah ke Amaal-e-Swaaleh Allah Ta'ala ko Jis Qadar Mahboob wa Pasand hain, Dusre dino ke Aamal iss Qadr mahboob nahi."
Sahaba-e-Kiram (R.A) ne arz kiya: "Aye Allah ke Rasool (ﷺ)! Dusre dino ka jihaad bhi ?"
Aap (ﷺ) ne farmaya:
"Dusre dino ka Jihaad bhi iss Qadr mahboob nahi, haan! Mujaahid apni jaan aur maal Allah Ta'ala ke raastey me Qurbaan kar dey tou aisa Jihaad afzal aur pasandeedah ho sakta hai."
📕 Bukhari, Tohfatul Ahwazi Jild 2 Pg 58,
📕 Abu Dawood Jild 1 Pg 332, Miftah Al Haja Sharah ,
📕 Ibne Majah Pg 125, Baihaqi Jild 4 Pg 285, Mishkat Jild 1 Pg 127-128
People also Search as:
- अशरा ज़ुल हज की फ़ज़ीलत क़ुरानो सुन्नत की रौशनी में
- Ashra Zul-hijjah Mein Kasrath Se Karne Waale Amaal
- Qurbani ke Masaail aur Ashra Zul Hijjah ki Fazilat
- ♫ Qurbani Ke Kuch Aham Ahqam Aur Masail
- Qurbani – Ek Baap aur Betey Ki (Hazrate Ibrahim aur Ismayeel Alaihay Salam)
- Qurbani Ka Janwar Kharid’te Waqt Kin Baato Ka Khayal Rakhe ?
Comments
Post a Comment