Ashra Zul-hijjah mein qasrath se Karne waale Amaal

Ashra Zul-hijjah mein qasrath se Karne waale Amaal

1 se 13 Zul Hijjah ko Sooraj Ghuroob Hone Tak Padhi Jane Wali Takbeeraat

الله اكبر الله اكبر لا اله الا الله والله اكبر الله أكبر ولله الحمد

Allah Sabse Bada hai, Allah Sabse Bada hai, Allah ke Siwa koi Ma'bood nahi, aur Allah Sabse Bada hai, Allah Sabse Bada hai, aur Allah ke Liye hi Sab Tareef hai.

📕 Musannaf Ibn Abi Shaybah: 5694


Tahleel aur Tahmeed ki Qasrat karo:

۞ Hadees: Abdullah bin Omer (R.A) bayan karte hai ke RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

"In dino (Ashrah Zilhijjah, 1-10) se Zyadah azmat waale din aur in mein kiye gaye amaal se zyadah mahboob amal Allah Ta'ala ke nazdeek koi nahi, Lehaza tum in (10 dino) mein qasrat se Tahleel (La ilaha illallah) aur Tahmeed (Alhamdulillah) bayan karo."

📕 Saheeh Abi Awanah 2/74, H:2428,
Iski sanad hasan hai, dekhiye Mahnama Al hadees Shumara:122, safa:13


Tahleel aur Tahmeed ki Fazilat:

۞ Hadees: Jabir bin Abdullah (RA) kahte hai ke,
Maine RasoolAllah (ﷺ) ko farmate hue suna:

"Sabse Afzal Zikr La ilaha illallah hai aur sabse Afzal Dua Alhamdulillah hai."

📕 Sunan Tirmizi: 3383, Allama Albani ne isey Hasan kaha hai


۞ Hadees: Abu Huraira (R.A) bayan karte hai ke
RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya:

"Ye Baat ke Mai Subhan Allah Wal Hamdulillah Wa la ilaha illallah Wallahu Akbar kahun, mujhe un tamam chizon se Zyada mahboob hai Jinn par Suraj tulu hota hai, (Is'sey murad ke ye Zikr Qaynaat ki har chiz se zyada pasand hai.)

📕 Sahih Muslim: Nuskha Darussalam 6847


۞ Hadees: Tahleel aur tahmeed ke Ahadees me Alag alag alfaz aayien hai Masalan: Ye Tahleel 100 baar padhe:

📕 Sahih Muslim: 6842


✦ Tahleel aur Tahmeed ke jitne Alfaz Ahadees me Aayein hai unn sab Azkaar ka Khas in Ayyam (Zilhijjah Ke 1-10 days) mein Ehtemam kare aur Fuzul baato aur La yaani gupshup se Parhez kare.

♥ In'shaAllah ul Azeez! Allah Ta'ala hume kehne sun'ne se jyada amal ki taufik de.

Aur bhi Dekhe

Comments