Biwi ke Huqooq Qurano Sunnat ki Roshni me
!!! Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!!
Allah Rabbul Izzat Quran-e-Kareem me farmata hai:
❝ Aur Biwiyo ke saath Acchi tarah raho saho.
❝ Aurto ka Haq Mardo par waisa hee hai jaisa Dastoor ke Mutabiq (Mardo ka haq) Aurato par hai, Al batta mardo ko unn par fazeelat hasil hai.
- Al Quran; Surah Baqrah 2:228
Isi Tarha Allah Ke Rasool (ﷺ) ki Aahadees me Aata hai ke:
❝ Aurato se behtar Sulook karo kyunki Aurat pasli se paida ki Gae hai aur pasli ka sab se zyada tedha hissa woh hai jo uska buland hissa hai.. Agar tu Usey Seedha karne lage ga tou Usey Thodh dega aur agar Chodh dega tou Tedhi hee Rahegi, Lihaza Aurto se Accha Sulooq karo.
- Hadith: Bukhari 3331
❝ Koi Momin Mard, Momina Aurat, Yaani Apni Biwi se Bhugz(nafrat) na rakkhe, kyunki agar Us sey uss ki koi Aadat Napasand hai tou koi dusri pasand bhi hogi.
- Hadith: Muslim 1467
❝ Aur dastoor ke Mutabiq Tumhari Biwiyo ki khuraaq aur Phoshaaq tumhare Zimme hai.
- Hadith: Abu Dawud 1905
Rasool'Allah (ﷺ) se phucha gaya ke biwi ka mard par kya haq hai tou aap ne farmaya ke:
❝ Jab tu khana khaye tou Usey khana khila aur jab tu Pehne tou Usey bhi Pehnna aur uske Muuh par na Maar, Usey bura bhala Kahe na Uss se Qata Talluq kar magar yeh ke Ghar ke Andar Andar.
- Hadith: Abu Dawud 2142
#Wazahat: Yaani kisi baat par Naraaz ho tou Usey Ghar se Dusri jagah na bhagao
❛ Jis ki Do Biwiya ho aur woh Unn me se Ek ki taraf hi Mayeel(Atract) ho tou woh Qayamat ke Din is Haal me Aayega ke uska Ek Pehlu Jhuka hoga"
- Hadith: Abu Dawud 2133
# Albatta woh umoor jinn me adal mumkin na ho jaise Mohabbat aur Dil ki Khushi tou in par khawind par khuch gunah nhi.
❝ Agar tum chaaho bhi to apni Biwiyo ke Darmiyaan Adal na kar sakoge.
Rasool Allah (ﷺ) ne farmaya ke,
❝ Aye Allah! yeh meri taqseem aise muamle me hai jis me mera ikhtyaar hai aur jiss baat me tera ikhtyaar hai, mera nahi uss par mujhey malamat na farmana.
- Hadith: Abu Dawud 2134
# Related Hadith
- Behatreen Aurat ki Sifat aur Pehchan
- Jannati Aurat ki Pehchan aur Khubi
- Behtareen Biwi aur Behtareen Shohar ki Pehchan
- Nek Aur Farmabardar Aurat Ka Silaah
- Aurto ki Jannat ya Dozakh Unka Shohar hai
- Shohar ki Napasandida baato se doori Ikhtiyar kare
- Shohar ki Nashukri Karne wali Biwi ka Anjaam
- Shohar ki Nashukri Karna ek tarha ka kufr hai
- Apne Shohar ke siwa dusre Mard ka zikr na kare
- Shohar par Biwiyon ke Huquq Kya hai ?
- Kya Biwi Shohar ko Zakaat de sakti hai?
- Aurat ke liye Shirk ke baad sabse bada Gunaah
- Aurat ke liye Parde ka Hukm Qurano Sunnat ki Roshni me
- Binaa kisi khas wajah se Talaaq mangne waali Aurat ka Hashr
Comments
Post a Comment