Shabe Qadr ki Nishaniyan Aahadees ki roshni mein

Shabe Qadr ki Nishaniyan Aahadees ki roshni mein

Shabe Qadr ki Nishaniyan Aahadees ki roshni mein

۞  Hadith: Hazrate Ubada (RaziAllahu anhu) se rivayat hai ki, Nabi ﷺ ne farmaya:

"Shab e Qadr Ramazan ke mahine ke aakahri ashre mein hoti hai jo shakhs is ka sawab hasil karne ke liye un mein Qiyam kare to Allah is ke agle pichle Sare Gunah Muaf farma dega aur ye Taaq Raaton mein hoti hai. yaani Aakhri Ashre ki 9, 7, 5, 3, ya aakhri raat ( yani 29,27,25,23,21).

Aur farmaya ke Shab e Qadr ki Nishani ye hai ke wo Raat Roshan aur Chamakdar hoti hai, is mein Chand ki Roshni bhi khoob ujli hoti hai, Wo Raat pur-sukun aur gehri (mautadil) hoti hai Ye Raat na Garm hoti hai na Thandi hoti hai.

Is Raat mein Subah tak Sitare tod kar nahi maare jate, is ki Nishani ye bhi hai ke is ki subah ko jab Sooraj Roshan hota hai to woh seedha barabar nikalta hai jaise Chodwee ka chaand hota hai aur (subah ke waqt) is ki koi shuaa (kiran) nahi hoti aur is din Shaitan ke liye Sooraj ke sath niklana mana hota hai."

People also search as:


Comments