Qayamat ke Din Shafa’at ka Haqdar?

Qayamat ke Din Shafa’at ka Haqdar?

Qayamat ke Din Sabse Pahle Shafa’at koun karega?

۞ Hadees: Abu Hurairah (R.A.) se riwayat hai ki, RasoolAllah (ﷺ) ne farmaya,

“Mai Aulaad-e-Aadam ka Sardar Hounga Qayamat ke Din aur sabse Pahle Mai Shafa’at karunga aur sabse Pahle Meri Shafa’at Qubool hogi.”

📕 Sahih Muslim, Fazeelaton Ke Masayeel, Hadith no. 5940


RasoolAllah (ﷺ) ki Shafa’at kis ke liye hogi ?

۞ Hadees: Hazrat Abu Huraira (R.A.) kehte hain Rasool (ﷺ) ne farmaya,

"Har Nabi ke Liye Ek Dua Aisi hai Jo Zaroor Qabool hoti hai Tamam Ambiya ne Woh Dua Dunia Main hi Maang li, Lekin Main ne Apni Dua Qayamat ke Din Apni Ummat ki Shafa’at ke liye Mehfooz kar rakhi hai, Meri Shafa’at In Shaa Allah har uss Shakhs ke liye hogi jo Is Haal me Mara ke Usne Kisi ko Allah ke Sath Shareeq Nahin kiya."

📕 Sahih Muslim, Hadith 399


Allah ke Sath Shareek Karne ka Matlab:

Allah ke Sath Shareek karne ka Matlab ye bhi hota hai ki Aap Allah ke Alawa Dua ke liye kisi aur ko Pukare, Allah Rabbul Izzat farmata hai,

"(Aye Nabi ﷺ) Aap kah Dijiye ke Mai Toh Sirf Apne Rab hi ko Pukarta hun aur Us ke Sath kisi ko Shareek nahi karta."

📕 Surah Jinn, Ayat# 20

Comments